Posts

Showing posts from November, 2024

parchaayi

Kuch ghum ki parchaayi tum par bhi paddi Hum par bhi paddi Kuch dard ki chingaariyaan tumhe bhi jala gayin Humein bhi sulgaa gayin Kuch ashqon ki nami ne tumhe bhi bhigaaya Humein bhi sataaya Sab dil mein utarte jazbaaton ko chhoot-te tumne bhi dekha humne bhi dekha Sab bandhi ummeedon ko toot-te tumne bhi dekha Humne bhi dekha Bas fark itna raha Ki hamara saath na thha Koi aur hamare tha saath khadda Ek sa ghum Ek sa dard Ek sa dhokha Ek sa samjhauta Hum kar aaye khud se aur unse Aur phir hum tum miley bahut kismat se Waqt laga khwaabon ko ek sa karne mein Waqt laga sawaalon ko sulajhne mein Aur ek din humko phir pyaar ho gaya Ek aadhe adhoore shaqs se Tum se...humko pyaar ho gaya Ummeedein bandhti kaise Saari pehle se tooti thhi Neendein khwaabi hoti toh kaise Haqeeqat hi itni jhooti thhi Phir bhi aitbaar karne lage hum Tumse pyaar karne lage hum Shaam savere tujhse juddne lage Aadaton ke tevar badalne lage Neend ko bhi teri aadat si hone lagi Aur ek dor phir khwaab pirone lagi Hum t...

fair

You build me and break me,  And I stand there and smile,  You hold me and stand me,  And I still walk for miles,  You protect me and impair me, And I still hold your hand,  You amaze me and disappoint me, And I can't even cry,  They say love is a tough ride,  I say look at you and it will all seem fair,  They say keep your hopes beside, I say I'd not until I breathe.  - Medhavi  25/11/24

aajkal

Tum kishton mein yaad aate ho aajkal,  Kabhi hawa ban kar,  Kabhi baarish ki tarah,  Kabhi dhoop ban kar,  Kabhi kohre ki tarah... Tum khayaalon mein rehne lage ho aajkal,  Kabhi sawaal ban kar,  Kabhi ban kar shayari,  Kabhi hansi ban kar,  Kabhi ban kar mausiqi... Tum saath chalne lage ho aajkal,  Kabhi saans ban kar,  Kabhi ban kar parchaayi,  Kabhi neend ban kar,  Kabhi ban kar aashiqui... Tum khwaabon mein aane lage ho aajkal,  Kabhi guzra waqt ban kar,  Kabhi ban kar seher ki oas, Kabhi aane wala kal,  Tum yaad aate ho har roz... Khud ko yaad dilaana paddta hai,  Ki yaad na karun main tumko,  Tum zindagi ban guzarne lage ho mujhmein aajkal,  Kaise na pyaar karun main tumko ?

👤intezaar

Mera intezar kuch hi saalon ka hi tay tha, Kyunki sirf usay apna banane ka nischay tha,Woh badal gaya waqt ke sath kuch is kadar,Jaise woh mera Humsafar nahin koi ajnabi tha,Woh mukar gaya,Uski mohabbat jhuthi thi,Woh aage badh gaya,Usko kafi jaldi thi,Ab intezar zindagi bhar ka hai,Aur fasalon ke naam yeh safar mera,Main kehti thi woh aakhiri tha mauka mera,Dehleez nahin,woh toh Ghar tha mera,Ab khud ka ghar chod ke kaise jaaun,Usko bhul nahin saktiZindagi uske bina kaise bitaaun

🫧kaafilaa

Ek nazm si chalti hai, Waqt ke kaafile mein, Jaise zindagi takra gayi ho,  Toote huye hausalon se. Intezaar, aur sirf intezaar,  Rehta hai mere hisse,  Khaamosh lafz,  Rehte hain kal ke daayaron mein. Ek benaam sa rishta hai,  Aur bekhauffiyat hai jazbaaton ki,  Gulaab ki khushbu sa behta hai,  Aur darr ki chaadar hai kaanton ki.  Uljhe huye sire kuch,  Kuch khoobsurat kisse hain,  Sirf baaton ke tukde,  Aur ghazalon se mukhde hain. Theherna hai, chalna bhi hai,  Bheegna hai, jalna bhi hai,  Kashmakash hai,  Haqeeqat bhi hai,  Aur dil ko tootne ki,  Aadat bhi hai.  Phir bhi aankhon pe parda sa hai,  Guzarte mausamon ka darr sa hai, Par nazar mein tassavvur khwaabon sa hai,  Aur aashiyaan sajaane ka manzar bhi hai.

👤kurta

Jab mere diye kurte ko pehen kar, Tum gair ladkiyon ke kandhe par, Haath rakh kar tasveer khichwaate ho, Kya us din, us pal, tum poori tarah, Mujhe bhool jaate ho ? Ya us kurte ko pehente waqt, Meri yaad ki khushbu, Tumhe chhoo jaati hai,  Aur us Udaipur se liye kurte se,  Tumhe meri pasand ki oas bhigaati hai, Log kehte hain bhool jaaun tumhe main, Jaise tumne bhula diya hai mujhe,  Par is nadaan Dil ko kaise samjhaaun, Jo khush hai ki mere diye huye kurte ko,  Diwali par pehna tumne. Medhavi