Posts

Showing posts from March, 2023

bediyaan 🌸

Usay uddna pasand tha, Mujhe bandhe rehne ki aadat thi.. Ghum ne usay kabhi na chhua tha, Aur mere paas zakhmon ki saugaat thi.. Usay chaand dekhna pasand tha, Mujhe toot-te taaron par yakeen tha.. Uski zindagi mein sach ka darwaaza bandh tha, Aur main jaanti thi ki taqdeer se laddna befizool tha.. Uski Khushi mere saath thi, Par sukoon uske sheher se tha... Mere pairon mein bediyaan thi, Aur usko mere saath uddna tha... Toh maine ek din usay aazaad kar diya, Aur usne mere ishq ko dhoke ka naam diya, Shayad mujhe samajhna na aasaan tha, Isliye maine uske ilzaam ko yun hi maan liya. - Medhavi  25/03/23

Aaj unhe phir saath dekha🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama nahin, Na aage b