Posts

Showing posts from October, 2022

kya tum bhi 🤞

Kya tum bhi... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho,  jab waqt ki koi paabandi Na hogi,  mulaaqaaton ki umrein lambi hongi,  Jab har khayaal likh ke bataana Na padega, Aur doooriyon se pyaar jataana Na padega... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho, Jab hum har waqt ka khaana saath khaayenge, Aur bin soche bas kahin bhi nikal jaayenge, Jab saath baith kar ghanton yeh chaand takenge, Aur phir pehle ki baaton par pehli baar sa hansenge... Yeh baatein sochte sochte  ek ek din main guzaar rahi hun, Tumse milne ka har waqt  main intezaar kar rahi hun, Dekho aaj ek aur din kam ho gaya, Hamari mulaaqaat ka waqt kareeb aa gaya, Yahi soch kar muskura rahi hun  main meelon dur tumse, Yahi soch kar phir  khwaab bun rahi hun jodd ke tumse... Medhavi

bewaffai 🌸

Bewaffai bahut chote kisson se hoti hai, Yeh sirf kisi dusre shaqs ko apne kareeb  aaneya jaane tak seemit nahin hoti,  Har woh jhooth bewaffai hai jo do logon ke beech aaye, Har woh cheez bewaffai hai jo chupaani padd jaaye, Chahe woh koi mulaaqaat ho ya text message,  Hadh se badhi huyi koi baat ho ya emotional baggage,  Woh attention ho jo sirf ek shaqs ke liye hoti hai, Ya ek pal ki kamzori jo shayad  asal mein maayeene nahin rakhti hai,  Bewaffai bahut subjective hai,  Ismein bahaane nahin hote, Aur mohabbat bahut simple, kyunki, Usmein haq jataane nahin paddte,  Isliye ek zara si chot faaslon ki wajah ban jaati hai,  Ek ankaha dard juda hone ki saza ban jaati hai, Toh agli baar kisi teesre shaqs ke wajood banne se pehle, Khud se poocha ki yeh jagah tumne banne kyun di,  Aur mohabbat karna toh poore imaan se karna,  Kyunki zindagi mein aadhi cheezein toh jhoothi hi hain, Aadhi adhoori mohabbat karne ka kya faayada.  - Medh...

zindagi

बेखौफ ज़िन्दगी  यूँ ही ना हुई ,  बहुत  से ऐसे  मनज़रो से सामना  हुआ,  जहां टूट कर मैं कितनी दफा चूर चूर हुई ... ज़माने ने डाली बेडियां  पैरों में मेरे,  हर बार उन्हे तोड़ मैं खुद ही आज़ाद हुई... लड़ के मगर फिर मैं किसी गलत के लिए,  ना जाने कितनी दफा खुद ही बर्बाद हुई... साथ देने का वादा किया ना जाने कितनो ने,  हाथ पकड़ के छोड़ने की फित्रत समझा भी गए ,  समझा ना सकी खुद को, कैसे समझाती मैं सबको ,  कि किसिकी बातों में मैं यूँ  ही आ भी गयी... साथ था ना कोई  और जब मुड के देखा ,  मैं ही गलत थी, और ऐसे ही मशहूर हुई,  सब भूल गए सारी अच्छी  बातों को,  ना जाने कितनी दफा मैं टूट कर चूर चूर हुई... मोहब्बत भी सुनी और दोस्ती भी सुनी,  मैने अपनी दुनिया कितने धागों से पिरोई ,  टूटे उस माँझ की पतंग से ख्वाब जैसे,  इन राहों में मैं तनहा कितनी बार हुई,  सबको बनाया अपना, पर मैं किसी की ना हुई... ली दुष्मनी गैरों से अपनो की आन की खातिर,  और खुद का तामाशा बनते  कई बार देखा,  बुरे  वक़्त म...

Humne bahut intezaar kiya🌸

Humne bahut intezaar kiya,  Tumhare saath reh kar, tumhare saath ka,  Tum jo na keh sake, us har ek baat ka... Lafzon se pare, tumhare pyaar ki hadh ka, Jo tum likh na sake, us har ek khat ka... Tumhare khaas logon mein, apni ginti ka, Tumhe apni zindagi mein shaamil karne ki vinti ka... Tumhari us ek nazar ka,  jisse tum gairon ko dekhte ho, Tumhari zindagi mein us jagah ka,  jispe tum gairon ko rakhte ho... Tumhare haathon ki lakeeron ki garmi ka, Tumhari saanson mein ghulti apni narmi ka... Par tum na aaye,  Humne bahut intezaar kiya, Shayad itna hi tha taqdeer mein, Toh humne bas, bahut intezaar kiya. - Medhavi Oct 8' 2022

duvidha🌸

Tum woh khwaab ho,  Jisse main khuli aankhon se dekhti bhi hun,  Aur har din toot-te huye mehsoos bhi karti hun... Tum woh ummeed ho,  Jisse main khud se nazar bacha kar rakhti hun, Niraash ho kar bhi, phir se dil mein bharti hun... Tum meri woh pasand ho, Jisse har dusre din main khud se sawaal karti hun,  Kabhi hans ke toh kabhi ro kar khud ko behaal karti hun... Tum woh Humsafar ho, Jo der saver saath yun hi chodd deta hai,  Phir laut kar zindagi ki raah modd deta hai... Takleef hogi, yeh pakka hai,  Dil tootega, jazbaat bikhrenge,  Yeh bhi pata hai, par,  Tum woh duvidha ho,  Jismein rehna mujhe achcha nahin lagta, Par jisse pyaar karne se mera dil nahin thakta...