Posts

Showing posts from March, 2020

🫧sagar

Ek sagar piroya tha khwaabon ko samet ke,  Bikhre thhe jo lafzon ke libaas mein tumhari us laal diary mein,  Yaad hai tum usmein aksar apne dil ki khaas baatein likha karte thhe ?  Ek waqt tha ki har panne par naam tha mera,  Aur kabhi kabhi mujhe yaad kar tumhari aankhon ki nami se kuch lafz bhi dhundhla jaate thhe.  Mulaaqaaton ka waqt seemit hota tha,  Aur sagar mein moti se tumhare ehsaas ghulte rehte thhe,  Kabhi socha nahin tha,  Ki wo khwaab khud hi todne padenge, tumhara Mudd ke na dekhna kabhi khwaab ke khwaab mein bhi na tha, par tumhara jaana, shaayad maaloom tha, Tabhi aaj tak tumhari wo baatein, kuch cheezein ab tak hain paas mere, jinse waqt ko kaid sa kar rakha hai maine bhi, tumhe nahin aana, ab tumhara intezaar bhi nahin, par wo sagar ab bhi apni maujon mein tumhara naam dohraata hai... - Medhavi

👤empty

He left me so empty,  That no love could fill my heart,  No soul could hold my being,  And life could never be the same. 

aaj unhe phir saath dekha🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama na...