🫧Jab
Jab bachche thhe, tab jawaan hone ki jaldi thhi, Jab jawaan huye, toh hadein toddne ki jaldi thhi, Jab hadein toot gayi, toh galtiyaan sudhaarne ki jaldi thhi, Jab galtiyaan sudhar gayi, toh maafi paane ki jaldi thhi, Jab maafi mil gayi, toh mohabbat ki jaldi thhi, Jab mohabbat mil gayi, toh paise kamaane ki jaldi thhi, Jab paise kama liye, toh aur kamaane ki jaldi thhi, Jab aur kama liye, toh kharachne ki jaldi thhi, Jab kharach liye, toh Ghar banaane ki jaldi thhi, Jab Ghar bana liya, Tab humsafar paane ki jaldi thhi, Jab humsafar paa liya, Toh phir mohabbat ki jaldi thhi, Phir se jawaan hone ki jaldi thhi, Phir se hadein toddne ki jaldi thhi, Phir se jeene ki jaldi thhi... Par iss jaldbaazi mein der ho gayi Zindagi yeh haathon se fisal gayi Bas pachtaave reh gaye Ghum k saaye reh gaye Ameer ho kar bhi hum Gareeb aur bechaare reh gaye.... Medhavi...