Posts

Showing posts from June, 2018

🎈i wonder

It's insane how I still look at you from a distance and wonder, If the girl you're dating makes you happier than I did.

🎈My end

*I see my end when I think about falling in love with you, but then you smile and I fall again.*

🎈Light

He sings to my heart Without any lyrics And suddenly there is light In the dark corridor of my heart.

🎈touch

I can't remember the lyrics of the song that travelled through us and synced our souls, but I recall the way you came closer and touched me without touching me.

🎈Difficult

Loving you at your darkest Was never difficult Difficult was to be enough for you to be loved.

🎈Aas

रूह में दबी एक आस थी, तेरे ख्याल ने हवा दी, तो मोहब्बत  बन  गयी . - मेधावी

Agar

Guzar jaati zindagi Dagaa-on se shikve karte karte Agar tumne phir Mudd ke dekha na hota... Raahein rehti khaffa si Manzilon se Agar tumne haath chor kar phir pakda Na hota... Mohabbat ek lafz hi reh jaata Kaayanaat mein khoye zarre ki tarah Agar tumne zehen mein iska rang Na ghola hota... Medhavi

Dur

Aaj meelon dur ho kar bhi, Unse kareebi ka ehsaas hua, Shaan o shaukhat Hai magar, Kuch gareebi ka aaghaaz hua, Unhe chor aaye thhe hum barson pehle, Is ek khwaab ka peecha karte huye, Ab jab sab haasil hai Toh sochte hain, Kya hum khud muqammal huye ? Medhavi

Shikayatein

Shikaayatein kuch khud se Hain, Kuch tumse bhi, Kabhi miloge toh poochenge, Tumne khud se humko bachaaya kyun nahin? Medhavi

Pending andheron

Andheron mein gum kisi saaye ki tarah, Woh ajnabee huye kisi paraaye ki tarah, Mudd ke dekha toh khud se hi takra gaye, Toot Gaye ek pal mein hakeekaton ki aayeene. Woh nikal gaye saamne se beete afsaane ki tarah, Woh mitt gaye takdeer se guzre zamaane ki tarah, Jitne thhe haseen khwaab sab murjha gaye, Khud par hansna chaaha toh nain pathra Gaye. Medhavi

Banjaara

Khud par se apna haq gawaa baithi, Tere ishq ne mujhe itna banjaara kar diya... - Medhavi

Aahat

Darwaaza khula tha zindagi ka Tumhari aahat bhi suni thhi Bas tumhari sarhad farzon ki chaukhat thi Aur mera daayara teri mohabbat ki tadap thi... -Medhavi 16.06.14

Aadatein

Aadatton ki aadatein samajhte samajhte Na jaane kab fitraton se mulaaqaat ho gayi Jhaank rahe thhe guzre waqt ke dareeche se Aur Bas Yun hi hasraton se baat ho gayi Medhavi

Kankad

Us Kachchi sadak ki marammat aaj hote dekhi Jiske kankaddon se humne Yun hi khela Tha kabhi Khoobsurat lagegi shaayad ab woh puraani gali Par sawaal phir bhi Dil mein aaya mere puraana wahi Woh kankadd ab bhi tumhari daraaj mein padde Hain Kya ? Unki dhool ab bhi tumne bachaayi rakhi Hai ? Ya is nayi sadak ke banne se bahut pehle Tumne Meri tarah Meri har yaad bhi bhula di hai Medhavi