Posts

Showing posts from November, 2017

Mohabbat ki fitrat

Khushbu si kuch tumhari chu kar guzri, Aaj guftagu hawaaon ke zariye khaamoshi se guzri, Nazar nazar ki ankahee, Kuch tumne kahi, Kuch suni maine bhi, Woh kisi baat par hansne se pehle tumhara mujhe dekhna, Woh baat aage badhaane ki tumhari meri bandhti toot-ti aarzoo, Mohabbat ki baar baar aankhon mein utar aane ki fitrat, Aur jalti bujhti woh ek besharm si hasrat, Kaun kehta hai ki waqt guzar Gaya aur hum aage badh Gaye, Hum to wahin hain ab bhi, pehli mulaaqaat aur dil toot ke bikharne ke beech mein kahin thehre huye, Tumhe chup ke dekhte aur toot kar mohabbat karte huye.

Madness

When everything around you has captured him in some way, like a picture, like a moment, you feel he is every where... From the smell of your bedsheet, to the warmth of his breath, from the sweet whispers, to the cuddling of fingers... He's just not on your mind, but even the things, the little things have absorbed him... The search doesn't end and the love grows deeper, that sort of helplessness has it's own beauty... Has it's own madness... . . .

Lamhon ki oas

Guzre huye lamhon ki oas, Aaj aayeene par jami huyi dekhi, Gire huye do chaar lafz, Aur bhulaayi huyi yaadein, Kuch puraani tasveerein, Aur dohraayi huyi baatein, Ehsaas ajnabee to ho Gaye, Par paraaye nahin, Mulaaqaat to kehne ko ho gayi, Par woh laut ke aaye nahin. Intezaar nahin, ummeed nahin, Na unse mohabbat Hai ab, Khud se naraazgi hai, nafrat bhi, Kyun na samajh sake hum tab, Behte rahe Nadi ki tarah unke jahaan mein, Jo kehte woh maan lete thhe, Aankhein moond Kar hum. Ab khuli Hain aankhein to tajjub karte Hain, Is oas par unka naam likh Kar mitaate huye, Hum hum na rahe, waqt badal Gaya magar, Woh na badle, na badli fitrat unki, Kitni milegi saza us ek faisle ki, Ki kabhi in nigaahon ne unko chuna Tha, Duniya se jhagad Kar unhe apna banaya tha. Mohabbat jab apni hi nazar mein gunaah ban jaati Hai, Ek pal mein hausalon ki tasveer too jaati Hai, Saans aati Hai magar, jeene ka ehsaas nahin hota, Zindagi guzarti Hai magar, Waqt nahin guzarta. Medhavi