Posts

tasveer

Tum par kuch likhungi, Toh afsaana ban jaayega,Bin miley yeh haal hai,Milne ka bahaana ban jaayega,Apni tasveeron se kaho,Zara Kam meherbaan hon mere khayalon pe,Khaamakha Dil tumhara deewana ban jaayega.

amar

Arre abhi shayari shuru Kahan Kari,  Humein agar mohabbat ho jaaye aapse, Toh bas chandd lafzon se aapko, Hum yun hi amar kar dein.  Waah . Kya likha hai bhaisaab. I'm good.

tukde

Khud ko toot-te bikharte , main har raat dekhti hun, Samet-ti hun khud ke tukde, aur  phir nayi shuruwaat har roz karti hun, Har din dekhti hun rasta tumhari ek khabar ka, Aur dhoondhti hun koi ilaaj main apne har Darr ka, Ki tumko kho kar karaar ek pal na aaya, Ek lamhe ko na chodd saka tumhare khayalon ka saaya, Tumhari tasveerein bhi jala di, Par jalti hun main khamakha kyun, Tumhari ummeedein bhi chodd di, Par maangti hun ab bhi tumko kyun, Kya meri mohabbat itni be-asar thi, Tum toh kehte thhe main zindagi thi, Aadat thi, tumhara Ghar thi, Mujhe mujhse beghar kar tum chain se sote kaise ho, Mujhe itna Tod kar, mere tukdon par tum chalte kaise ho, Ek burra khayal nahin nikalta, bad-dua dur ki baat hai, Par sach toh yeh hai ki mere pyaar ki yahi aukaat hai, Tum kehte thhe manaane aaoge tum agar main na aayi, Tumne toh bandh kar diye darwaaza dekh meri parchaayi,  Kahan jaaun kis se ardaas karun, Kaise main khud ko ab maaf karun, Tumhe chahna ab log meri galti bataate hain, Hanste Ha

arsa

Din toh guzar jaate hain, par, Yeh raatein meri dushman hain, Tere khayal kisi puraane cassette ki tarah, Mere dil - o - dimaag mein bajte hain, Kisi gaane jaise nahin, shor se lagte hain, Main na rok paati hun inhe, Na aage badhaane ya badalne ka koi tareeka milta hai, Main har raat khud hi se laddte jhagadte, Thodi aur khud se nafrat karte karte,  Neend ko rijhaane ki koshish karti hun, Har baar haarti hun, toot-ti hun, Par phir bhi khud se milne ki khwahish karti hun, Tumhe agar milun kisi mod pe, Toh mujhe mujhse zarur milwa dena, Ki ek arsa hua aayeene mein dekh muskuraaye huye. Medhavi  04/05/24

kismat

Na-ummeed tha dil us raat ke baad, Soche baitha tha kahoge tum wahi ek baat, Ki bhool jaana yeh sab kisi khwaab ki tarah, Par tumne jab mere maathe ko  choom kar mujhe jagaaya, Sukoon bhari neend se  itne pyaar se Jo daaman chuddaya, Toh lafz gum thhe, Nazrein jhuki si thi, Tumhe dekhna tha, Par sharm ki paabandi bhi thi, Aur tum jab mere kuch aur kareeb aaye, Tham gayi har saans,  Kahan mujhmein us waqt koi sudh budh thi, Na maine koi vaada maanga, Na tumne di koi tassalli, Tumne bas yun hi raasta badla, aur Maine kismat par hamari kahani chod di, Medhavi 02/05/24

giraft

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

afsos

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24