Posts

for Abhi

Woh dekhti hi nahin aayeene ko gaur se aajkal, Main chhup chhup kar usko dekha karta hun, Meri nazar parchaayi si uske saath saath chalti hai, Uske kadmon ke saath meri raah nikalti hai... Uski khushbu uss se pehle mere zehen mein bhar jaati hai, Uski aawaaz uss ke dil se pehle mujh tak pahunch jaati hai... Itni nazdeeki toh Na thhi kabhi jab tere saath thha, Thode faasle thhe thodi doori ka ehsaas thha, Ab Na dekh Sakti hai tu mujhe,  Na mehsoos main hota hun, Par tere saath uthta baithta aur sota hun, Kehte hain log ki main iss duniya mein nahin raha ab, Unko kya khabar ki ab bhi main tujhmein jeeta hun... I miss you Abhi Medhavi

Kaash

Kaash main tmhari zarurat nahi Hasrat hoti Tmhari aadat nahi Mohabbat hoti Toh hamari kahani mein rang ghulte Aur sunehra zindagi ka aangan hota Khwab sare hamare sach hote Aur sirf khushi ka hi mausam hota Par main sirf ek thi Tmhare saikaron vikalpon me Ek parchaayi thi Tmhare dil ke anginat aayino me Meri haisiyat sirf waqt ki mohtaj thi Meri keemat sirf ye thi ki main tmhara aaj thi Kaash tmne mujhe chuna hota Ab yeh bhi nahi sochti main Mujhe kho diya tmne Aur yeh tmhari sabse badi haar thi

mausam

Hum phir na milein agar, Toh yeh baatein yaad rakhna, Sardiyon mein haath pakad kar, Humne bahut raaste tayy kiye thhe, Basant ritu ki thandi hawa mein, Nadi kinaare hum tum chai piye thhe, Garmiyon ki shaamon mein, Hum lambi drives pe gaye thhe, Barsaat mein ek hi rickshe par, Hum dono aadhe-aadhe bheege thhe, Patjhad na dekh paaye hum tum,  Par har mausam saath dekhe humne, Aur patjhad theher sa gaya kuch yun, Ki alag ho gaye raaste aur hum tum, Yaad rakhna ki har mausam mein, Main tumko yaad aaungi kuch yun, Ki sardiyon ki hawayein kuch aur chubhengi, Basant ke phoolon se khushbu gum rahegi, Garmiyon ki dhoop mein parchaayi akeli lagegi, Barsaaton mein mann ki zameen na bheegegi, Main yaad aaungi tumhe waqt bewaqt yeh yaad rakhna, Hum saath rahein na rahein, tum humein yaad rakhna.  Medhavi

ishq

Koi ishq kare toh tum sa kare, Aur jisse mukarne se pehle, Har saans uski gawaahi de, Zaruri ho tum, yeh samjhaaye, Jab khatm ho jaaye sab kuch, Toh sirf aisa ishq hi ummeed bane. 

karma

Aaj maine tumhe mere khwabon ko, Jeete huye dekha, Jo tumne kabhi socha bhi nahin tha, Woh sab karte huye dekha, Khush toh tum hamesha se hi thhe, Maine tumhe khud se  khush hote huye dekha. Meri kahi huyi baaton ko, Khud ki baatein kehte huye dekha, Aur mujhe Tum par sirf hansi nahin,  Thoda taras bhi aaya, Kyunki tumhara tumse hi faasla, Saaf - saaf nazar aaya. Kaash tumhari tasveeron par likhe, Tumhare hi lafz, sirf lafz na hote, Kaash khud ki talaash mein daudte daudte, Tumhare aas paas ke log istemaal na hote, Ek din yeh daud khatam hogi, Tumhara khokhla sa mukhauta ek din, Saari duniya ke aage jab girega, Tumko khud ka saamna bhi karna padega. Toh jiyo sukoon se, Ki ab mujhko na koi ranjish hai, Bhaago tum apne karmon se, Tumhara hisaab meri khwahish hai, Jo diya hai tumne, woh laut ke aayega, Aur tumhara karma isi zindagi mein milega.

panchtantra

Kal raat jab tumhe Panchtantra ki kahaani suna kar phone par maine sulaaya,  Toh bachpan ka ek dhundhla sa kissa yaad aaya,  Jab yeh kahaani maine ek kitaab mein padhi thi,  Aur iski seekh mere dil mein ghar kar gayi thi,  Tumhare saath chalte chalte main aksar khud se mil jaati hun,  Tumse pyaar karte karte main khud ko thoda aur chahte lagti hun,  Sheher hain alag hamare,  Par meri neendon ka sukoon ho tum,  Sach hai kya, phir se kaho na, Ki sirf mere hi ho tum.  - Medhavi 

Is baar

Is baar jab hum milenge Khamosh rahenge ya baatein karenge Dekhenge hum jab ek doosre ko Aur jab saath baithenge Toh kya haath pakad ke rakhenge Aur agar saath chale toh Kya hamare haath chuyenge Yeh sab soch main intezaar kar rahi hun Din guzar rahe hain aur main tumhare paas aa rahi hun Main hun shayad paagal, par sirf tumhare liye hun Tumse maanga nahin kuch bas tumhari ban gayi hun Mohabbat ka naam na dena, yeh us se pare hai, Tum subha ka suraj, main bas roshni hun.  Medhavi